Kyun Hawa Lyrics - Veer - Zaara | Lata Mangeshkar, Sonu Nigam & Yash Chopra

Kyun Hawa Lyrics By Veer - Zaara (2004) : This song is sung by Lata Mangeshkar, Sonu Nigam and Yash Chopra. Music composed by Madan Mohan.

Lyrics : Javed Akhtar
Singer : Lata Mangeshkar, Sonu Nigam, Yash Chopra
Music : Madan Mohan
Starring : Shah Rukh Khan, Rani Mukharji, Preity Zinta
Music By : YRF






Kyon Hawa Lyrics

Ek din jab savere savere
Surmai se andher ki chaadar hata ke
Ek parwat ke takiye se
Suraj ne sarj uthaaya, to dekha
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamho ki kaliyan, mehkne lagi hain
Ankahi ansuni aarazu
Aadhi soi hui, aadhi jaagi hui
Aankhein malti huye dekhati hai
Lehar-dar-lehar, mauz-dar-mauz
Behati hui zindagi, jaise har pal nayi
Aur phir bhi wahi, haan wahi zindagi
Jiske daman mein ek mohabbat bhi hai
Koi hasarat bhi hai
Pass aana bhi hai, Door jaana bhi hai
Aur ye ehsaas hai
Waqt jharne saa behta hua 
Jaa raha hai, Ye kehta hua
Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaado ki daaliyon par
Anginat Beete lamho ki kaliya, Mehkne lagi hain

Aa... Aa... hmm... hmmm.. aha...

Kyon hawa aaj yoon gaa rahi hai

Kyon hawa aaj yoon gaa rahi hai
Kyon feeja rang chhalka rahi hai
Mere dil bata aaj hona hai kya
Chaandani din mein kyon chha rahi hai
Zindagi kis taraf jaa rahi hai
Mere dil bata kya hai ye silsila
Kyon hawa aaj yoon gaa rahi hai
Gaa rahi hai, Gaa rahi hai...

Aa... hmm... aha...

Jahaa tak bhi jaayein ye nigahein
Baraste hain jaise ujaale

Jahaa tak bhi jaye nigahein
Barste hain jaise ujaale
Sajee aaj kyun hai raahein
Khile phool kyon hain nirale
Khushbuyein kaisi ye beh rahi hain
Dhadhkane jaane kya keh rahi hain
Mere dil bata ye kahani hai kya
Kyun hawa aaj yoon gaa rahi hai
Gaa rahi hai, Gaa rahi hai

Aa... aa...

Ye kiska hai chehra jise main
Harek phool mein dekhta hoon

Ye kiska hai chehra jise main
Harek phool mein dekhta hoon
Ye kiski hai aawaj jisko...
Na soon ke bhi main soon raha hoon
Kaisi ye aahtein aa rahi hain
Kaise ye khwab dikhla rahi hai
Mere dil bata kaun hai aa raha
Kyun hawa aaj yoon gaa rahi hai
Gaa rahi hai, Gaa rahi hai

Aa.....  



Comments